Saturday, March 6, 2010

Koi apna sa


Gham - tu apna sa lagta hai
Saaya jo bana phirta hai sang-sang!
Pal bhar teri nazron se ojhal nahin main
Teri mohabbat se kabhi mehroom nahin main
Mujhe dil se chipkaye-simtaye rakhta hai
Tu bada apna sa lagta hai

Par ye Indrajal kaisa? Ye paheli kyun?
Wajah-bewajah ye sar-parasti kyun?
Rulate, kabhi hansate dekha hai tujhe maine
Dard, kabhi dawa bante dekha hai tujhe maine
Naqab-posh hai tu! Phir bhi kahin
Tu jana-pehchana sa lagta hai

Sadak ke us paar Khushi mili thi us roz
Suna hai teri banti nahin usse? Kyun bhala?
Badi hansmukh, chulbuli si hai wo!
Masti lutati, gudgudati si hai wo!
Mera-uska aana-jaana hai - mehmaanon ki tarah
Par tere-mere beech khoon ka rishta lagta hai

Hamaare rishtey se jaltein hain log
Tujhe "Shraap! Bimaari!" kehte hain log
Kehte hain "Gham kisika saga nahin hota"
"Tere zeher ka koi tod nahin hota"
Maana mujhe bhi teri lat si hai lekin
Tu mae se badhkar nashila lagta hai

Sach to ye hai ki meri hi paidaish hai tu
Dil ki mitti ko man ke sanche mein dhaalkar bana hai tu
Chahatein zarooraton ke tarazu mein tulin hain jab jab
Sapnon ka haqiqaton se samjhauta hua hai jab jab
Zindagi ke safar main jab manzil hai gumshuda
Ek tu hi hai jo humsafar sa lagta hai
Gham - tu apna sa lagta hai